Surah Mulk Quran ki 67th surah hai. Ye Makki surah hai aur Quran ki 29th Parah mein aati hai. Ye surah 30 ayat par mushtamil hai. Yeh surah Allah ki kudrat aur hukumat ko bayan karti hai. Allah Ta’ala insaan ko yaad dilata hai is surah se ke zindagi aur maut ka malik sirf Allah hai. Raat ko rozana parh kar sone se qabre ki azaab se nijat milti hai.
Allah Ki Qudrat Ka Bayan: Surah Mulk Ki Rooshni Mein
Surah Mulk mein Allah Subhanahu Wa Ta’ala ki qudraton ka bayan hai. Allah Ta’ala farmate hain ki zindagi aur maut ka malik main hoon. Maine zameen aur asman ko banaya hai aur qareeb wale asman ko roshan churaghon se sajaya hai, yani sitaron se, aur unko shaitano ko pathar barsane ka zariya bhi banaya hai. Aur unke liye dahakti aag bhi tayyar ki hai. Is Surah Mulk mein Allah Ta’ala farmate hain maine parindon ko paida kiya jo asman mein urte hain aur zameen ko saf rakhte hain. Aur insaan ko paida kiya, unke kaan, aankh aur dil aur uski poori takhleek ki hai. Allah Ta’ala ne hame pani ata farmaya hai aur bohot saare rizq bhi.
Insani Zindagi Aur Maut Ka Maqsad: Surah Mulk Ki Tafseer
Allah Ta’ala insaanon ko isliye zindagi aur maut ata farmaya hai taki wo aazmaayein ke kaun uski ibadat karta hai aur kaun inkaar karta hai. Kaun sachha momin hai aur kaun kufr karne wala hai. Allah Ta’ala ne hame duniya mein isliye bheja taki hum uski ibadat karein, uski aazmaish ko paar kar sakein, uska sachha ibadatgar banein, usse darein aur sirf usi ki ibadat karein.
Jannat Aur Jahannum Ka Bayan: Surah Mulk Ki Nazar Mein
Allah Ta’ala Surah Mulk mein farmate hain jo uski ibadat karega, sachhe dil se ibadat karega aur ghaib par iman laayega uske liye jannat hai jiske neeche nehre beh rahi hain. Aur jo uska inkaar karega aur kufr karega uske liye dardnaak azaab hai, use jahannum mein daala jayega.
Surah Mulk: Ibrat Aur Naseehat Ka Paigham
Surah Mulk se hame ye pata chalta hai ki zameen aur asman ka malik sirf Allah hai aur zindagi aur maut dene wala bhi sirf Allah hai. Duniya ki tamam chizon ko banane wala sirf Allah hai. Jaise hame is surah se pata chalta hai ki asmanon aur usme dikhne wale sitare Allah ne banaye hain, parindon ko banaya hai jo zameen ki safai rakhte hain. Pani ke chashmon ko banaya hai insaanon ke istemal ke liye, to har cheez par qudrat rakhne wala sirf Allah hai, to hame chahiye ki sirf Allah ki ibadat karein.
Surah Mulk Ka Amal Aur Asar
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka mafoon tha ke wo Surah Mulk ko parhe baghair sote nahi the. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Surah Mulk qabre ke azaab se nijaat deti hai. Jo shakhs is surah ko rozana raat ko parh kar soye ga, qabre ye surah apne parhne wale ki taraf se jhagrega farishte se, yahan tak ke usko bakhsh diya jayega. Is surah ko shafaat karne wali kaha gaya hai kyunki ye surah apne parhne wale ki shafaat karegi.
Surah Mulk Ki Ahmiyat: Iman Walon Ke Liye Sabaq
Surah Mulk qabre ke azaab se bachati hai. Iman walon ki, yani jo rozana is surah ko parhta hai, uski shafaat karti hai. To lihaaza har shakhs ko chahiye ke rozana is surah ko apne amal mein laaye aur rozana sone se pehle padh kar soye. Islamic Jankari ke mutabiq, ye surah insaan ko qabre ke azaab se bachane aur akhirat ki tayyari mein madad deti hai.
Akhirat Ki Tayyari: Surah Mulk Ki Hidayat
Jis tarah Surah Mulk hamare liye farishte se jhagra karega aur hamari shafaat karega, usi tarah akhirat mein bhi hamari shafaat hogi aur hame jahannum ke azaab se bachayegi. Ye surah bohot behtareen hai aur iski fazilat bhi bohot badi hai. Islamic Jankari ke zariye hame ye seekhna chahiye ke is surah ko apni zindagi mein shamil karna chahiye taake akhirat ki tayyari behtareen ho sake.